Best Shakeel Azmi Poetry in Hindi that Everyone Must Read

Shakeel Azmi poetry in Hindi is widely popular. 

He is also successful as a song lyricist. But this post is not about his songs.

In this post, I am sharing amazing shayari by Shakeel Azmi.

I hope you enjoy them as much as I do.

Best Shakeel Azmi Poetry in Hindi

apni manzil pe pahunchna bhi khade rahna bhi

kitna mushkil hai bade ho ke bade rahna bhi

 

har ghadi chashm-e-ḳharidar men rahne ke liye

kuchh hunar chahiye bazar men rahne ke liye

 

phir yuun hua thakan ka nasha aur badh gaya

ankhon men Dūbta hua jaada laga hamen

 

mere honTon pe ḳhamushi hai bahut

in gulabon pe titliyan rakh de

 

baat se baat ki gahra.i chali jaati hai

jhuuT aa jaa.e to sachcha.i chali jaati hai

main so raha huun tire ḳhvab dekhne ke liye

ye aarzū hai ki ankhon men raat rah jaa.e

 

tumhare dard se le kar hamare aansū tak

badi tavil kahani hai aag paani ki

 

aaj ankhon men koi raat ga.e aa.ega

aaj ki raat ye darvaza khula rahne de

 

ḳhud ko itna bhi na bachaya kar

barishen hon to bhiig jaaya kar

 

bas ik pukar pe darvaza khol dete hain

zara sa sabr bhi in ansuon se hota nahin

Shakeel Azmi Shayari in Hindi

hadse shahar ka dastūr bane jaate hain

ab yahan saya-e-divar na DhūnDhen koi

 

kuchh dinon ke liye manzar se agar haT jaao

zindagi bhar ki shanasa.i chali jaati hai

 

is baar us ki ankhon men itne saval the

main bhi saval ban ke savalon men rah gaya

 

bhuuk men ishq ki tahzib bhi mar jaati hai

chand akash pe thali ki tarah lagta hai

 

ghar ke divar-o-dar pe shaam hi se

nazm likhta hua hai sannaTa

 

bichhad ke bhi vo mire saath hi raha har dam

safar ke ba.ad bhi main rail men savar raha

 

haar ho jaati hai jab maan liya jaata hai

jiit tab hoti hai jab Thaan liya jaata hai

 

mujh ko bikhraya gaya aur sameTa bhi gaya

jaane ab kya miri miTTi se ḳhuda chahta hai

 

jab talak us ne ham se baten kiin

jaise phūlon ke darmiyan the ham

 

jaane kaisa rishta hai rahguzar ka qadmon se

thak ke baiTh ja.ūn to rasta bulata hai

Best Shakeel Azmi Poetry in Hindi for Instagram

paron ko khol zamana uDan dekhta hai

zamin pe baiTh ke kya aasman dekhta hai

ghaTaen uThti hain barsat hone lagti hai

jab aankh bhar ke falak ko kisan dekhta hai

 

main jab makan ke bahar qadam nikalta hun

ajab nigah se mujh ko makan dekhta hai

 

main Dub jaun samundar ki tez lahron mein

kinare rakkhi hui kaenat rah jae

 

Best Shakeel Azmi Shayari

Tell me which poetry by Shakeel Azmi you liked the most.

And also share your favourite shayari, and I will add it to the list. 🙂

Faizan Fahim

Hello, welcome to this blog. Just writing reviews of the book I like. Also, favorite quotes, poetry, memes, sometimes other topics too, but always related to literature. So join me on Twitter to talk to me.

You may also like...

2 Responses

  1. Aatif says:

    तू नहीं दिल में, मगर तेरा निशां बाकी है
    बुझ गई आग मोहब्बत की, धुआं बाकी है
    जिस जगह हमने कैलेंडर में जुदाई लिखी
    एक मुलाकात की तारीख़ वहां बाकी है
    मेरा विश्वास मोहब्बत से नहीं उठ सकता
    जब तलक शहर में फूलों की दुकां बाकी है
    मैं तेरे बेवफा होने से परेशान नहीं
    दिल लगाने को अभी सारा जहां बाकी है

    Best poet……

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.